Kyuki jise wo ek saadharan insaan samajh raha tha, wo asal mein teenon lokon ke paalanharta – Shri Hari Vishnu the.
Itna sab kuch jaante hue bhi, Ravan ne Bhagwan Ram ke haathon marna accept kar liya.
Lekin fir bhi – Bholenath ke alawa usne kabhi apna sir kisi ke saamne nahi jhukaya.
Ravan ko sab kuch pehle se hi pata tha, wo jaanta tha ki Ram ke haathon hi uski mrityu likhi hai,
Phir bhi usne kaha:
“Hey mere Mahadev, main marna pasand kar lunga,
Lekin aapke alawa main kisi aur ke saamne kabhi apna sheesh nahi jhukaunga.”
Isiliye kaha jaata hai ki aaj tak Mahadev ka itna bada bhakt Ravan ke alawa koi nahi hua – aur na hi kabhi hoga.
Ravan apne pichhle janm mein Vaikunth lok ka dwarpal tha.
Haan, wo aur uska bhai Kumbhakarn – dono hi Jaya aur Vijaya the.
Unka kaam tha – Bhagwan Vishnu se milne aane walon ko bina permission ke andar jaane na dena.
Ek din, chaar Kumar (arthaat chaar rishiyon) ne Bhagwan Vishnu se milne ke liye Vaikunth lok jaana chaha.
Tab Jaya aur Vijaya ne unhe rok diya, ye kehkar:
“Hamare Prabhu Vishram kar rahe hain, thodi der baad aana.”
Itna sunte hi, chaaron rishiyon ko itna gussa aaya ki unhone Jaya aur Vijaya ko shraap de diya:
“Tum dono prithvi pe anant kaal tak bhatakte rahoge,
Mrityu bhi maangoge, lekin wo tumhe naseeb nahi hogi.”
Jaya aur Vijaya turant Bhagwan Vishnu ke paas bhaag kar gaye.
Bhagwan Vishnu toh sab jaante hi the, unhone kaha:
“Ye shraap ab reverse toh nahi ho sakta.
Lekin tumhare paas do options hain:
- Tum prithvi pe 7 janm loge aur meri hi bhakti karoge,
- Ya phir tum sirf 3 janm loge, lekin main tumhara dushman banoonga har janm mein.”
Jaya aur Vijaya ne dusra option chuna –
Kyuki marne ke bahaane hi sahi, kam se kam Bhagwan ke darshan toh honge.
Toh:
- Pehla janm: Hiranyakashipu aur Hiranyaksha ke roop mein
- Dusra janm: Ravan aur Kumbhakarn ke roop mein
- Teesra janm: Shishupal aur Dantavakra ke roop mein
Toh doston, comment section mein ek baar zor se likhiye – HAR HAR MAHADEV!